Tuesday, 26 April 2016

Jazbaato Ke Jag-Zahir Hone Ke Khayaal Se Daraa Karte Hai

Un Raahon Se Guzar Rahe Hai Aaj 
Jinpe Chalne Waalo Pe Hasaa Karte The
Un Lehron Pe Chal Rahe Hai Aaj 
Jinki Unchaaiyon Se Daraa Karte The
Bohot Si Mushqile Hai Yun To, 
Ye Zindagi Hi Kasautee Hai
Apne Hi Jazbaat Hai Ye Aaj 
Jo Khud Kaa Mazaak Udaayaa Karte Hai
Ehsaason Kaa Samandar Jaise Sailaab Ho Gayaa
Is Sailaab Ko Rokne Kaa Hisaab Lagaayaa Karte Hai
Ha Khaamosh Rehnaa Faayde Ki Cheez Lagti Hai
Jazbaato Ke Jag-Zahir Hone Ke Khayaal Se Daraa Karte Hai

Sunday, 7 February 2016

Khud Ko Kahaa Dhoondu Mai

Ab Is Akelepan Mein,
Dost Kahaa Dhoondu Mai??
Akele Chal Rhaa Hai Raastaa,
Manzil Kahaa Khoju Mai??
Chupp Rehnaa Manzoor Nahi Hai Is Dil Ko,
Waqt Ko Ye Khamoshiyaa Bhi
Raas Nahi Hai Aa Rahi
In Tanhaaeeyo Kaa 
Saathee Kahaa Dhoondu Mai??
Khaamoshiyaa Bhi Cheekhh Ke Hai 
Kuch Sunaanaa Chaahti,
Ye Aankhe Bhi Ab Is Dil Kaa Hai 
Haal Bataanaa Chaahti,
In Veeraaniyo Mein Khushiyo Ki 
Ummeed Kahaa Dhoondu Mai??
Kho Gayi Hu Is Qadar 
Ab Khud Ko Kahaa Dhoondu Mai??