Sunday, 14 June 2015

Baarish Ka Mausam Always Awesome

Baarish Ka Mausam, 
Bayaan Kartaa Hai Kuch Yaadein, Kuch Baatein,
Kuch Mulaakaatein, Kuch Haseen Khoobsoorat Vaadein,
Rimjhim Boondein, Kuch Kaagaz Ki Kashtiyaan,
Kahin Tanhaaiyon Ka Aalam, Aur Intezaar Kisi Ke Aane Ka,
Kuch Keh Jane Ka, Kuch Kar Jaane Ka,
Baarish Aur Bachpan, Ek Kahaani, Ek Jazbaa,
 Ek Ehsaas Mauj Ka, Masti Ka,
Shaayad Yahi Hai Wo Mausam Jo Kehta Hai 
Teri Dhadkano Mein Ab Bhi Hai Baki 
Kuch Bachpan Ki Shorgul Ki Baatein 
Or Ehsaas Sharaarton Ka
Barish Ka Mausam Always Awesome
Sometimes Blossom And Sometimes
Just Mazaa Life Ka

Tuesday, 9 June 2015

Bacchaa Hai Dil

Dil Roke Na Ruke, Samjhaaye Na Samajtaa Hai
Toko Jis Kaam Ko Whi Kar Guzartaa Hai

Kartaa Hai Naadaaniyaa Hota Hai Pareshaan Bhi
Kartaa Hia Fiqr Uski Jise Na Ho Koi Parwaah Bhi

Choti Choti Khushiyon Mein Khush Ho Jata Hai
Par Kabhi Kabhi Bin Baat Ke Bhi Bhot Daraataa Hai

Hai Yahi Duaa Ke Mil Jae Iski Manzil
Kar Jae Kab Kya Na Ho Pata
Qunki Akhirkaar Bacchaa Hai Yeh Dil