Tuesday, 3 November 2015

Kuch Apne Sath Nibhaate Agar

Tanhaaiyon Se Jaise Dosti Ho Gai
Mushqile Jaise Bun Gai Hai Humsafar,

Har Chehraa Dikhtaa Hai Ruthaa Huaa Saa
Kho Gai Hai Khushiyon Ki Har Dagar,

Khushiyon Ke Kuch Pal Aate To Hai
Zindagi Mein,
Ehsaas Hone Se Pehle Hi
Mud Jaate Hai Magar,

Jee Lete Hum Bhi Zaraa Khul Ke
Kuch Apne Jo Saath Nibhaate Agar

Thursday, 1 October 2015

Naa Aaghaaz Ki Fiqr

Naa Aaghaaz Ki Fiqr
Naa Anjaam Kaa Darr Thaa,

Jab Chale The Hum
To Saath Humsafar Thaa

Raahon Mein Hue 
Humse Yun Judaa

Reh Gayaa Phir 
Yaadon Kaa Kaarwaan Thaa


Wednesday, 16 September 2015

Rahon Se Phool Yuhi Chuna Nahi Karte

Yun Hote Hum Khoobsoorat 
K Wo Hum Pe Mar Mitte

To Shaayad Hotaa Yun Bhi 
K Khwaab Baazaaron Mein Bikte

Naa Hote Wo Itne Patthar Dil
To Naa Hote Hum Bhi Yun Majboor

Kehte Zamaane Bhar Se K
Hum Bhi 
Raho Se Phool Yuhi Chunaa Nahi Karte

Friday, 28 August 2015

Missing Someone

Sometimes
MISSING SOMEONE
Is Like Checking Out The Read Pages
And Know Something New, 
Something Interesting 
From What We Have Felt And Lived Before.

Friday, 7 August 2015

Dil Kabhi Khush Kabhi Pareshan Saa Hai

Dil Kabhi Khush Kabhi Pareshaan Saa Hai
Kabhi Daraa Hua Kabhi Hairaan Saa Hai
Kabhi Samajdaar Hai To Kabhi Naadaan Bhi
Kuch Mushqile Hai Par Sab Aasaan Saa Hai
Kuch Khwaahishein Hai Kuch Jazbaat Bhi
Kuch Paane Ka Kabhi Armaan Saa Hai
Dil Kabhi Samajdaar Kabhi Naadaan Saa Hai
Bhoolee Bisree Yado Ka Ik Makaan Sa H
Kuch Hai Jo Pas Nahi Usse Paane Ki Bhi Aas Nahi
Jaan Kar Bhi Jaise Anjaan Saa Hai
Maan Kar Baitha Patthar Ko Bhagwaan Saa Hai
Dil Kabhi Samajdaar Kabhi Nadaan Saa Hai
Kabhi Khush Kabhi Pareshaan Saa Hai

Friday, 17 July 2015

Life Mein Kabhi Kabhi Aisa Bhi Hota Hai

Life Mein Kabhi Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Hastaa Hai Jo Har Pal Wahi Sabse Zyada Rota Hai
Gam Chipaaye Hasi Mein,
Kon Jane Kabhi Koi Yuhi Ro Leta Hai
Wo Khushi K Aansoo  Jo Kehte Hai Log
Aate Hai Ankho Mein
Na Ho Zariya Gham Chipane Ka Kahi
Bas Koi Apna Ho Sath
To Is Gham Ka Asar Zara Kam Hota Hai
Life Mein Kabhi Kabhi Aisa Bhi Hota Hai
Hasne Wala Chehra Apna Gham Hasi Mein Khota Hai

Sunday, 14 June 2015

Baarish Ka Mausam Always Awesome

Baarish Ka Mausam, 
Bayaan Kartaa Hai Kuch Yaadein, Kuch Baatein,
Kuch Mulaakaatein, Kuch Haseen Khoobsoorat Vaadein,
Rimjhim Boondein, Kuch Kaagaz Ki Kashtiyaan,
Kahin Tanhaaiyon Ka Aalam, Aur Intezaar Kisi Ke Aane Ka,
Kuch Keh Jane Ka, Kuch Kar Jaane Ka,
Baarish Aur Bachpan, Ek Kahaani, Ek Jazbaa,
 Ek Ehsaas Mauj Ka, Masti Ka,
Shaayad Yahi Hai Wo Mausam Jo Kehta Hai 
Teri Dhadkano Mein Ab Bhi Hai Baki 
Kuch Bachpan Ki Shorgul Ki Baatein 
Or Ehsaas Sharaarton Ka
Barish Ka Mausam Always Awesome
Sometimes Blossom And Sometimes
Just Mazaa Life Ka

Tuesday, 9 June 2015

Bacchaa Hai Dil

Dil Roke Na Ruke, Samjhaaye Na Samajtaa Hai
Toko Jis Kaam Ko Whi Kar Guzartaa Hai

Kartaa Hai Naadaaniyaa Hota Hai Pareshaan Bhi
Kartaa Hia Fiqr Uski Jise Na Ho Koi Parwaah Bhi

Choti Choti Khushiyon Mein Khush Ho Jata Hai
Par Kabhi Kabhi Bin Baat Ke Bhi Bhot Daraataa Hai

Hai Yahi Duaa Ke Mil Jae Iski Manzil
Kar Jae Kab Kya Na Ho Pata
Qunki Akhirkaar Bacchaa Hai Yeh Dil

Friday, 22 May 2015

STUPID

How Can Anyone Be That Stupid!!!????
Stupid To Wait For Someone Who Forgets You.....
Stupid To Love Someone Eternally
Knowing He"ll Never Love You Back.....
Stupid To Smile While Scolded For No Reason...
Stupid To Feel Disrespectful Among All 
For A Single Person....
Stupid To Feel Lonely Among People Who Loves You
To Be With A Single Person.....
Stupid To Care For A Person Who Will Never Care...
Stupid To Be Called Selfish
Instead Of Giving Heart-Out....
Stupid  To Ask One Single Question
Several Times "ARE YOU OKAY???"""
I Want That Stupid To Be In My Life 
As Soon As Possible...

Friday, 8 May 2015

Me With A Feeling

Definition Of Love Is Yet To Define,
Living In This Feeling Felt A Good Sign,
Living Some Memories In A Special Way,
These Feelings Are Just Mine Mine Mine....
No One Is Here With Me At Times,
But You Are Always Here In Buffer Of My Mind,
This Feeling Is Just Like Wine Wine Wine....

Monday, 20 April 2015

Toote Jab Hum

Toote Jab Hum To Koi Sath Naa Tha

Jo Sambhaal Sake Humein
Haathon Mein Wo Haath Naa Tha

Hue Kuch Badlaav Hum Mein Is Kadar
K Chod Die Humne Apne
Or Unki Har Dagar

Kuhshiyon Mein Na Hogi Ghamon Ki Parchaaiiya
Is Ummed Ka Daaman Abhi Choda Na Tha

Loneliness - The Feeling of Art

Exams K Bad Ka Free Time
Nothing To Do But Total Mine
Itna Mine K No Time For Anyone
But Seriously Batau To I Miss Everyone
Its High Time To Explore More
Heart Ka Traffic Machaataa Shor
Improving Skills Ki Hoti Koshish
At The End Bun Jata Day Bore
Abhi To Hai Masti Ki Hope
But What Jab College Days Be No More
Kehte Hai Sab We Will Be Busy
But Life Is Not That Much Easy
Busy Life Is For Lucky Ones
Wanna Be Among Those Ones!!!

Sunday, 19 April 2015

LOVE

Feeling Jo Kabhi Na Ho Express
But Krti Hai Mind Hamesha Distress
Na Koi Chinta, Na Koi Gham
Har Taraf Kushiyon Ka Mausam
Make You Happy All Te Time
Whether The Mausam Is Bad or Fine
No Definition, No Explanation
But Hai Duniya Ka Sabse Special Relation
Banaataa Hai Connection From Heart to Heart
It Is The Art Of Beautiful Heart
De Smile For A Long While
It Helps When You Are Lonely For Miles
It Gives A Sense Of Security
And Take Out All Miseries And Insecurities.

Kabhi Apna Kia Raaston Ne

Kabhi Apna Kia Raaston Ne
Kabhi Begaanaa Kar Dia
Kabhi Thaamaa Haath To
Kabhi Anjaanaa Kar Dia
Kabhi The Hum Mehfil Ki Jaan,
Aaj Tanhaaiyon Ne Ghera Hai
Shaayad Ho Sach K,
Har Raat K Baad Savera Hai
Ab Sapno Ne Humse Kinaaraa Kar Lia,
Undekha Karne Ka Bahaana Kar Lia
Hum The Sub K,
Par Rahe Hum Paraaye Hi
Na Manzil Kar Saki Apna,
Na Apna Saki Hume Rahe Bhi
Ab Humne Apno Se Kinara Kr Lia,
Unki Mushqil Na Banne Ka Bahaana Kar Lia


Monday, 2 March 2015

Ladte Jhagadte Yu Saal Beet Gae

Ladte Jhagadte Yu Saal Beet Gae
Muskurate Rote Kuch Sawaal Beet Gae
Har Roz Ik Nai Hasrat Ka Janm Hota H
Dil Ye Chota Sa Bade Bade Sapne Sanjota H
Kuch Sapne Bas Yuhi Bun Khayaal Beet Gae
Honge Kabhi Poore Ye Khayaal Beet Gae

Rait K The Gharonde, Kuch Lehro Mein Thi Kashtiyaan Bhi
Toofan Sa Tha Saanso Mein, Thi Shant Sab Tanhaaiyaa Bhi
Jazbon Ki Nishaniyon Mein Kuch Atpate Se Haal Beet Gae
Kuch Sapne Bas Yuhi Bun Sawaal Beet Gae
Honge Kabhi Poore Ye Khayaal Beet Gae