Tuesday, 26 April 2016

Jazbaato Ke Jag-Zahir Hone Ke Khayaal Se Daraa Karte Hai

Un Raahon Se Guzar Rahe Hai Aaj 
Jinpe Chalne Waalo Pe Hasaa Karte The
Un Lehron Pe Chal Rahe Hai Aaj 
Jinki Unchaaiyon Se Daraa Karte The
Bohot Si Mushqile Hai Yun To, 
Ye Zindagi Hi Kasautee Hai
Apne Hi Jazbaat Hai Ye Aaj 
Jo Khud Kaa Mazaak Udaayaa Karte Hai
Ehsaason Kaa Samandar Jaise Sailaab Ho Gayaa
Is Sailaab Ko Rokne Kaa Hisaab Lagaayaa Karte Hai
Ha Khaamosh Rehnaa Faayde Ki Cheez Lagti Hai
Jazbaato Ke Jag-Zahir Hone Ke Khayaal Se Daraa Karte Hai

Sunday, 7 February 2016

Khud Ko Kahaa Dhoondu Mai

Ab Is Akelepan Mein,
Dost Kahaa Dhoondu Mai??
Akele Chal Rhaa Hai Raastaa,
Manzil Kahaa Khoju Mai??
Chupp Rehnaa Manzoor Nahi Hai Is Dil Ko,
Waqt Ko Ye Khamoshiyaa Bhi
Raas Nahi Hai Aa Rahi
In Tanhaaeeyo Kaa 
Saathee Kahaa Dhoondu Mai??
Khaamoshiyaa Bhi Cheekhh Ke Hai 
Kuch Sunaanaa Chaahti,
Ye Aankhe Bhi Ab Is Dil Kaa Hai 
Haal Bataanaa Chaahti,
In Veeraaniyo Mein Khushiyo Ki 
Ummeed Kahaa Dhoondu Mai??
Kho Gayi Hu Is Qadar 
Ab Khud Ko Kahaa Dhoondu Mai??

Tuesday, 3 November 2015

Kuch Apne Sath Nibhaate Agar

Tanhaaiyon Se Jaise Dosti Ho Gai
Mushqile Jaise Bun Gai Hai Humsafar,

Har Chehraa Dikhtaa Hai Ruthaa Huaa Saa
Kho Gai Hai Khushiyon Ki Har Dagar,

Khushiyon Ke Kuch Pal Aate To Hai
Zindagi Mein,
Ehsaas Hone Se Pehle Hi
Mud Jaate Hai Magar,

Jee Lete Hum Bhi Zaraa Khul Ke
Kuch Apne Jo Saath Nibhaate Agar

Thursday, 1 October 2015

Naa Aaghaaz Ki Fiqr

Naa Aaghaaz Ki Fiqr
Naa Anjaam Kaa Darr Thaa,

Jab Chale The Hum
To Saath Humsafar Thaa

Raahon Mein Hue 
Humse Yun Judaa

Reh Gayaa Phir 
Yaadon Kaa Kaarwaan Thaa


Wednesday, 16 September 2015

Rahon Se Phool Yuhi Chuna Nahi Karte

Yun Hote Hum Khoobsoorat 
K Wo Hum Pe Mar Mitte

To Shaayad Hotaa Yun Bhi 
K Khwaab Baazaaron Mein Bikte

Naa Hote Wo Itne Patthar Dil
To Naa Hote Hum Bhi Yun Majboor

Kehte Zamaane Bhar Se K
Hum Bhi 
Raho Se Phool Yuhi Chunaa Nahi Karte

Friday, 28 August 2015

Missing Someone

Sometimes
MISSING SOMEONE
Is Like Checking Out The Read Pages
And Know Something New, 
Something Interesting 
From What We Have Felt And Lived Before.

Friday, 7 August 2015

Dil Kabhi Khush Kabhi Pareshan Saa Hai

Dil Kabhi Khush Kabhi Pareshaan Saa Hai
Kabhi Daraa Hua Kabhi Hairaan Saa Hai
Kabhi Samajdaar Hai To Kabhi Naadaan Bhi
Kuch Mushqile Hai Par Sab Aasaan Saa Hai
Kuch Khwaahishein Hai Kuch Jazbaat Bhi
Kuch Paane Ka Kabhi Armaan Saa Hai
Dil Kabhi Samajdaar Kabhi Naadaan Saa Hai
Bhoolee Bisree Yado Ka Ik Makaan Sa H
Kuch Hai Jo Pas Nahi Usse Paane Ki Bhi Aas Nahi
Jaan Kar Bhi Jaise Anjaan Saa Hai
Maan Kar Baitha Patthar Ko Bhagwaan Saa Hai
Dil Kabhi Samajdaar Kabhi Nadaan Saa Hai
Kabhi Khush Kabhi Pareshaan Saa Hai